PM Vishwakarma Yojana 2023 – Benefits and Eligibility, Registration, How to Apply

PM Vishwakarma Yojana 2023: Aaj kal ke naye digital jamane me Vishvakarma samaj ke log kafi piche ho gaye hai. Na sirf digitalization se balki aay din other countries se badhte hue export businesses se is samaj ke logo ko bahut jyada nuksan hua hai.

Vishwakarma samaj ke log jo ki hatho se tarah tarah ke products banate hai inhe hasth shilpkar bhi kaha jata hai. Ye traditional artisans and craftsmen apni craftsmanship se bahut sare products bana kar unhe sell karte hai and chota mota business chalate hai.

Jaise ki humne abhi bataya ki digitalization, globalisation, import-export, internet ke aane se inke business par bahut bura prabhav pada hai. Inhi problems ke chalte hamare Prime minister Shri Narendra Modi ji ne recently ek nayi yojna ki announcement ki hai jiska name hai PM Vishvakarma Yojna 2023.

To yadi aap is yojana ke bare me bilkul scratch se jankari prapt karna chahte hai to aap is article ko end tak read kar sakte hai. Is article ke madhyam se hum, na sirf is yojana ke bare me batayenge balki iska complete analysis aapko provide krenge.

Bahut sare swal jaise ki ye yojana kya hai, kab start hogi, iske benefits, is yojana me register kaise karna hai and is yojana ke liye eligibility criteria kya hai and other similar questions ke answers aap ko is article se mil jayenge.

PM Vishwakarma Yojana 2023

vishwakarmayojana.org

Dosto, is saal 15 August ko hamare deshwasiyo ne apna 77th Independence day bahut hi dhum dham and khushiyo se celebrate kra hai. Is Independence day par hamare desh ke Prime Minister Shri Narendra Modi ji ne apni speech ke through artisans and craftspeople ke liye PM Vishvakarma Yojna 2023 ki ghoshna ki hai.

Unki speech ke according is nayi yojana par teji se kam kiya ja raha hai and aane vali Vishwakarma Jayanti (17 September 2023) par is yojana ko sabhi eligible logo ke liye officially start kar diya jayega. PM Vishwakarma Yojna ke tahat hamare desh ke bahut sare hardworking small artisans and workers ki financial and skill development me help ki jayegi.

Financial assistance ke taur par unhe bahut hi kam interest par loans provide kiye jayenge. Dusre end par skill development me unhe advanced technologies and techniques ki madad se kam sikhaya jayga and us training ke dauran unhe stipend bhi milega. PM Vishvakarma Yojna 2023 ko MSME (Ministry of Micro, Small, and Medium Enterprises), Finance Ministry and Skill development Ministry ke dwara shuru and manage kiya jayega.

15000 Crore ke budget vaki is yojana se desh ke lakho traditional artisans and craftspeople (goldsmiths, blacksmiths, hairdressers, washermen, masons (raajamistree), and vendors) ko train kiya jayga jiski vajah se vo nayi techniques ka istemal karke apni hunar ko improve kar sakte hai.

Aasha karte hai ki itna padhne ke baad aap ko PM Vishwakarma Yojana 2023 ke bare me complete idea ho gaya hoga. Aaiye ab hum jante hai ki is yojana ke objectives kya hai.

Objective of PM Vishwakarma Yojana

PM Vishvakarma Yojna humare naye Bharat ki pehli aisi yojana hai jo ki small business owners, craftsmen, artisans, etc ke liye shuru ki jaygi. Is yojana ke bahut sare objectives, benefits hai jisse in artisans and craftsman ko bahut help karenge.

  • PM Vishwakarma Yojna ka pehla motive hai apne desh ke sabhi artisans, craftsman and small business owners ko recognise karna and unhe ek similar platform par lana. Aisa karne se in sabhi ke bich me connectivity banai ja sakti hai and inke vyapar ko badhaya ja sakta hai.
  • Is Yojana ke tehat hamare desh ke bahut sare artisans jo ki aaj bhi purane tarike and techniques use karte hai, unhe nayi nayi techniques and technologies ke bare me aware kiya jayega. Isse vo jyada productive honge and or bhi ache se apni art se naye naye products kam time me bana payenge.
  • PM Vishwakarma Yojana ka ek mukhya uddeshya ye hai ki in artisans and craftsman ko business/industry-related education provide kiya jaye taki ye log apne products ko sahi platform and market me le ja sake.
  • Yadi ye artisans apna khud ka business karna chahte hai to inhe kafi protsahan and guidance bhi is yojana se mil sakti hai. PM Vishwakarma Yojana ke through eligible artisans ko collateral free loans provide kiye jayenge jinka interest rate bahut hi kam hoga. Is loan ki madad se ye log apne business ko nayi uchaiyo par le ja sakte hai.
  • Artisans and craftsmen ki skill development par bhi dhyan diya jayega and beneficiaries ko skill development training bhi di jayegi. Is training ke sath sath unhe 500 Rs per month ki stipend bhi provide kiya jayega. Skill development ke sath hi in artisans ko digital transactions ke liye educate and encourage kiya jayega.

To dosto, ye kuch main objectives the jinhe is Yojana ke tahat aap sabhi ke liye complete kiya jayega. Aaiye ab hum jante hai ki PM Vishwakarma Yojana ke features kya hai.

Features of PM Vishwakarma Yojana

13000-15000 Crore budget vali is yojana ke bahut sare features hai jinhe hum discuss karne wale hai.

  • Sabse pehle to hum aap ko bata dena chahte hai ki PM Vishwakarma Yojana me total 18 trades (Carpenter, Boat Maker, Armourer, Blacksmith, Hammer and Tool maker, Locksmith, Goldsmith, Potter, Cobbler, Sculpture maker, Mason, Toy maker, Barber, Washerman, Tailer) ko shamil kiya gaya hai.
  • Is Yojana ke tehat aap sabhi ko skill development training provide ki jayegi, sath hi sath certificate and ID card bhi provide karaya jayega.
  • First phase me artisans ko 1 Lakh and second phase me 2 Lakh tak ka collateral free loan diya jayega jiska interest rate sirf 5% hoga.
  • Is yojana ki announcement Finance Minister Shri Nirmala Sitaraman ji ne bhi budget ke dauran ki thi. Sath hi is PM Vishwakarma Yojna ke liye 13000 Crore ka budget bhi allocate kiya tha.
  • Vishwakarma Community ke log is yojana se direct benefits le payenge. Na sirf skills balki aap ko apne products ko sell karke ke avsar and guidance bhi milegi.
  • PM Vishwakarma Yojna ka ek important feature ye bhi hai ki yaha se aap sabhi ko nayi nayi job opportunities bhi dekhne mil jayengi.

Aasha karte hai ki aap ko PM Vishwakarma Yojana ke features pata chal gaye honge, aaiye ab hum dekhte hai ki is yojana ki eligibility criteria kya hai and kon kon is yojana se fayda le sakta hai.

Eligibility criteria for  PM Vishwakarma Yojana

PM Vishvakarma Yojana ke tehat benefits lene ke liye aap ko eligible hona hoga, iske baad hi aap is yojana me register and apply kar payenge.

  • Yadi aap given 18 trades me se kisi ek me bhi active rup se kam karte hai to aap is yojana ke liye eligible hai.
  • PM Vishwakarma Yojana me apply karne ke liye minimum age 18 years rakhi gayi hai. Iska matlab hai ki yadi aap 18+ hai to aap is yojana me apply kar sakte hai.
  • Family me se sirf ek hi member is yojana me apply kar sakte hai and benefits le sakte hai.
  • Government Job karne vale log is yojana me apply nahi kar sakte.

To dosto, yadi aap in sabhi criteria ko follow karte hai to aap is yojana me apply kar sakte hai.

Fields under PM Vishwakarma Yojana

Jaisa ki hum ne bataya hai ki PM Vishwakarma Yojna me karib 18 trades ko shamil kiya gaya hai. But ye bhi ek possibility hai ki jab ise launch kiya jaye to isme kuch or trades ko add kiya jaye.

  • Carpenter (Suthar)
  • Boat Maker
  • Armourer
  • Blacksmith (Lohar)
  • Hammer and Tool Kit Maker
  • Locksmith
  • Sculptor (Moortikar, stone carver)
  • Goldsmith (Sunar)
  • Potter (Kumhaar)
  • Cobbler (Charmakar)
  • Shoesmith/Footwear Artisan
  • Architecture/Construction
  • Mason (Raajmistri)
  • Doll & Toy Maker (Traditional)
  • Barber (Naai)
  • Garland Maker (Malakaar)
  • Washerman (Dhobi)
  • Tailor (Darzi)
  • Fishing Net Maker

In sabhi category ke logo ko is Yojana me cover kiya gaya hai.

PM Vishwakarma Yojana Launch Date

PM Vishwakarma Yojana 2023 ko Independence day par PM Narendra Modi ji ne apni speech ke through announce kiya tha. Us din se is yojana par lgatar kam kiya ja raha hai. Aisa kha ja raha hai ki Vishwakarma Diwas yani September 17, 2023 ko is yojana ko officially start kar diya jayega.

Start hone ke baad is yojana ka main motive rahega ki artisans ko skills provide ki jaye, unki marketing improve ho and unka vikas kiya jay. Jaise hi is yojana ko officially launch kiya jayega, hamare is article me uske bare me aap sabhi ko update kar diya jayega.

Documents Required

To dosto, yadi aap ko lagta hai ki aap PM Vishwakarma Yojana 2023 ke liye eligible hai and isme apply karna chahte hai to aap ko niche bataye gaye documents ready kar lene hai. Inhi documents ki madad se aap registration and apply kar payenge.

  • Aadhar Card
  • Mobile number
  • Bank Account Passbook
  • Ration Card
  • Voter ID card
  • PAN card
  • Domicile certificate
  • Email ID
  • Passport size colour photograph
  • Income certificate
  • Caste certificate (if related)

Yadi inme se koi documents aap ke paas nahi hai to hum aap sabhi ko recommend karenge ki in documents ke liye apply kar dijiye.

Jo documents yaha par bataye gaye hai vo abhi tak mili jankari ke hisab se bataye gaye hai, exact documents ki information is yojana le launch par pata chalegi. Isliye hum aap ko yaki recommend karenge ki aap is article ko save kar lijiye taki aap ko exact information sabse pehle prapt ho.

Dosto aasha karte hai ki aap ko PM Vishwakarma Yojana me apply and register karne ke liye important documents ke bare me pata chal gaya hoga. Aaiye ab hum aap ko batate hai ki aap is yojana me kaise enrol kar sakte hai.

How to Apply for PM Vishwakarma Yojana 2023?

Jaisa ki humne bataya hai ki Independence day par hamare desh ke Prime Minister Shri Narendra Modi ji ne apni speech ke through artisans and craftspeople ke liye PM Vishvakarma Yojna 2023 ki ghoshna ki thi, and aane vale Vishwakarma Diwas yani September 17, 2023 ko is yojana ko officially start kar diya jayega.

Iska sidha sa matlab yahi hai ki abhi is yojana ko launch hone me kuch ho days baki hai. Jaise hi PM Vishwakarma Yojana 2023 officially start hoti hai, vaise hi iska link available kara diya jayega.

Aap sabhi se nivedan hai ki aap is article ko bookmark kar lijiye and jaise hi is yojana ki announcement ho, is article par wapas aakar check kar sakte hai ki registration kaise karna hai. Iske sath hi additional information bhi aasan rup me is article ke dwara aap ko de di jayegi.

PM Vishwakarma Scheme Helpline Number

Yadi aap ko is yojana ke bare me koi bhi confusion hai to government ne enquiries and help ke liye phone number and email ID provide ki hai. Inki help se aap apne man me aa rahe kisi bhi question ka answer prapt kar sakte hai.

  • Email ID: champions@gov.in
  • Contact Number: 011-23061574

Final Words

Dosto hum ne asan bhasha me aap sabhi ko PM Vishwakarma Yojana ke bare me complete jankari dene ki koshish ki hai. Is article me aap sabhi ne dekha ki kaise is yojana ke through artisans and craftsmen ko badhava milega and unke products ko PAN India ki market tak lekar jaya jayega.

Na sirf selling balki is Yojana ke through artisans and craftsmen ko naye tools and techniques se bhi parichit karaya jayega. Yadi aap is yojana ke liye eligible hai to aap apne documents ready kar lijiye and jaise hi PM Vishwakarma Yojana launch hoti hai, aap isme register bhi kar dijiye.

Artisans ke liye ye one of the best chance hoga jisse vo na sirf apni hunar ko improve kar payenge, balki apne products ko banane ke liye nayi nayi skills and techniques bhi prapt karenge.

Yadi aap ko is article se vo important jankari mili hai jise aap khoj rahe the to aap sabhi is article ko social media par share karke hume support kar sakte hai.

Disclaimer – Hum aap sabhi ko bata dena chahte hai ki ye website PM Vishwakarma Yojana 2023 ki official website nahi hai. Is article ko publish karne ka motive tha ki aap sabhi ko is yojana ke bare me easy language me educate and aware kiya jay. Jaise hi PM Vishwakarma Yojana ki shuruaat hogi, iski official website bhi launch kar di jayegi, aap sabhi se nivedan hai ki is article ke madhyam se humse connected rahe taki latest information aap sabhi ko prapt ho.

Leave a Comment